Faiz Ahmed Faiz Poems - Ghazal
Faiz Ahmed Faiz Poems |
Faiz Ahmed Faiz Poems: The name of Faiz Ahmed Faiz does not need any introduction. He is well known and most famous Pakistani Urdu Poet. Faiz Ahmed Faiz was born on 13 February 1911 in Kala Kader, Sialkot. And he died on 20 November 1984 in Lahore. He was a main left-wing scholarly, progressive writer, poet, and a standout among the most notable artists of the Urdu literature. Faiz Ahmed Faiz begun composing on the customary subjects of adoration and excellence, however without further ado these ordinary subjects met up in the bigger social and political issues of the day.
It changes from sentiment to authenticity, wonderfully characterized in his sonnet "Mujh se Pehli si Mohabbat meri Mehboob na maang". Faiz Ahmad Faiz was remunerated by Soviet Russia with the renowned Lenin Award for Peace and his poetry have been converted into the Russian dialect. A number of his fans are in search of Faiz Ahmed Faiz Poems & Faiz Ahmed Faiz Ghazal with Beautiful Images & in Text Form. So here we are going to share a beautiful collection of Faiz Ahmed Faiz Poems. Have a look. Also Read Faiz Ahmed Faiz 2 Line Shayari & Faiz Ahmed Faiz Sad Poetry.
Faiz Ahmed Faiz Poems & Faiz Ahmed Faiz Ghazal with Beautiful Images
Top Faiz Ahmed Faiz Ghazal Text
Raushan Kaheen Bahaar Ke Imkaan Hue To Hain - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Raushan kaheeN bahaar ke imkaaN hue to haiN
Gulshan mein chaak chand garebaaN hue to haiN
Ab bhi khizaan ka raaj hai lekin kaheen kaheen,
Gosh E rah E chaman mein ghazal-khaaN hue to haiN
Thahri huii hai shab ki siyaahi vaheeN magar
Kuchh kuchh sahar ke rang purafshaaN hue to haiN
In mein lahu jalaa ho hamara K jaan O dil
Mehfil mein kuch chiraagh farozaaN hue to haiN
Haan kaj karo kulaah K sab kuch luta ke hum
Ab be-niyaaz E gardish E dauraaN hue to haiN
Ahl E qafas ki subah E chaman mein khulegi aankh
Baad E sabaa se vada O paimaaN hue to haiN
Hai dasht ab bhi dasht magar, khoon E pa se ‘Faiz’
Sairaab chand khaar E mugelaaN hue to haiN
_________________________
Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Huye Gham Aate Hain - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Dil Mein Ab Yun Tere Bhule Huye Gham Aate Hain
Jaise Bichhade Huye Kabe Men Sanam Aate Hain
Ik Ik Kar Ke Huye Jaate Hain Tare Raushan
Merii Manzil Kii Taraf Tere Qadam Ate Hai.N
Raqs-E-May Tez Karo, Saaz Kii Lay Tez Karo
Su-E-Maikhana Safiraan-E-Haram Ate Hain
Kuch Hamin Ko Nahin Ehasan Uthane Kaa Dimaag
Vo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain
Aur Kuchh Der Na Guzare Shab-E-Furqat Se Kaho
Dil Bhii Kam Dukhataa Hai Vo Yaad Bhii Kam Aate Hain
______________________
Ishq Minnat Kash E Qaraar Nahi - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Ishq minnat kash E qaraar nahi
Husn majboor E intezaar nahi
Teri ranjish ki intehaa maloom
HasratoN ka miri shumaar nahi
Apni nazreN bikher de saaqee
Mai ba-andaazaa E khumaar nahi
Zer E lab hai abhi tabassum E dost
Muntashir jalwa E bahaar nahi
Apni takmeel kar raha hun maiN
Warna tujh se to mujh ko pyar nahi
Charaa E intezaar kaun kare
Teri nafrat bhi ustawaar nahi
‘Faiz’ zinda raheN wo haiN to sahi
Kya huaa gar wafa shu’aar nahi
______________________
Ishq - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Ishq Minat Kaash E Qarar Nahe
Husan Majboor E Intizaar Nahe
Teri Ranjish Ki Intiha Maloom
Hasrtoo Ka Meri Shumaar Nahe
Zer E Lab Hy Abi Tabasum E Dost
Muntashir Jalwa E Bahaar Nahe
Apni Takmeel Kar Rha Ho Mein
Warna Tujh Sy To Mujh Ko Pyaar Nahe
Faiz Zinda Rahen Wo Hain To Sahe
Kiya Hua Gar Wafa Sha'aar Nahe.
_____________________
Teri Soorat Jo Dilnasheen Ki Hai - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Teri soorat jo dilnasheeN ki hai
Aashna shakl har haseeN ki hai
Husn se dil lagaa ke hastii ki
Har ghaRi hum ne aatisheeN ki hai
Subh E gul ho K sham E maikhana
Madh us rooy E naazneeN ki hai
Shekh se be-haraas milte hain
Hum ne touba abhi naheeN ki hai
Zikr e dozakh, byan e hur-o-qasur
Baat goya yahiN kaheeN ki hai
Ashk to kuchh bhi rang la na sake
KhooN se tar aaj aasteeN ki hai
Kaise maneiN heram ke sahl-pasand
Rasm jo aashiqoN ke deeN ki hai
‘Faiz’ auj e khyaal se hum ne
AasmaaN Sindh ki zmeeN ki hai
______________________
Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharaab Aaye - Faiz Ahmed Faiz
Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharaab Aaye
Us Ke Baad Aaye Jo Azaab Aaye
Baam-E-Miinaa Se Maahataab Utare
Dast-E-Saaqii Me.N Aaftaab Aaye
Har Rag-E-Khuu.N Me.N Phir Charaagaa.N Ho
Saamane Phir Wo Benaqaab Aaye
Umr Ke Har Waraq Pe Dil Ko Nazar
Terii Meher-O-Wafaa Ke Baab Aaye
Kar Rahaa Thaa Gam-E-Jahaa.N Kaa Hisaab
Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye
Na Gaii Tere Gam Kii Saradaarii
Dil Me.N Yuu.N Roz Inqalaab Aaye
Jal Uthe Bazm-E-Gair Ke Dar-O-Baam
Jab Bhii Ham Khaanamaa.N_Kharaab Aaye
Is Tarah Apanii Khamashii Guu.Njii
Goyaa Har Simt Se Jawaab Aaye
'Faiz' Thii Raah Sar Basar Ma.Nzil
Ham Jahaa.N Pahu.Nche Kaamayaab Aaye
______________________
Teri Ummid Tera Intezar Jab Se Hai - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Teri ummid, tera intezar jab se hai
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
Kisi ka dard ho karte haiN tere naam raqam
Gilaa hai jo bhi kisi se, tere sabab se hai
Hua hai jab se dil E na – saboor be – qaboo
Kalam tujh se nazar ko baRe adab se hai
Agar sharar hai to bhaRke, jo phool hai to khile
Tarah tarah ki talab, tere rang e lab se hai
KahaaN gaye shab E furqat ke jaagne wale
Sitaara e sehari hum-kalaam kab se hai
______________________
Hum Dekhain Gay - Faiz Ahmed Faiz Ghazal
Hum Dekhain Gay
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhain Gay
Wo Din Ke Jis Ka Wadah Hain
Jo Loh-E-Azl Pe Likha Hain
Jab Zulmo-O-Sitam Ke Koh-E-Garaan
Ruii Ki Tarha Urd Jain Gay
Hum Mehkumoon Ke Paun Talay
Ya Dharti Dhard Dhard Dharkay Gi
Aur Ehl-E-Hukam Ke Uper Jab Bijli Kard Kard Kardke Ki
Jab Arz-E-Khuda Ke Kabay Se
Sub But Uthwaaiy Jain Gay
Hum Ehl-E- Safa Mardood-E-Haram
Masnad Pe Bithaaiy Jain Gay
Sub Taaj Uchalay Jain Gay
Sub Takhat Giraaiy Jain Gaz
Bas Nam Rahay Ga Allha Ka
Jo Gayab Bhi Hai Hazir Bi
Jo Nazir Bhi Hai Manzar Bhi
Uthay Ga Analhaq Ka Nara Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho
Aur Raj Karay Gi Khalq-E-Khuda Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho
Hum Dekhay Gay
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhain Gay
Faiz Ahmed Faiz Poems || Faiz Ahmed Faiz Ghazal
This is the most heart-touching collection of Fiaz Ahmed Faiz Poems and Faiz Ahmed Faiz Ghazal. Hope you guys like this. Keep follow us to get Urdu Quote and Poems daily.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment