Jaun Elia Poetry - Shayari - Ghazal

No comments
Jaun Elia Poetry
Jaun Elia Poetry

Jaun Elia Poetry: The name of Jaun Elia does not need any introduction. He is one of the most well known and famous Urdu Poet. He was born on 14 December 1931 and died on 8 November 2002. He is famous artist of Urdu Language. He is also a thinker and biographer of Pakistan. A number of his fans are looking for Jaun Elia Poetry, Jaun Elia Shayari and Jaun Elia Ghazal in Urdu with beautiful wallpaper. Now their search will come to an end. As in this post we are going to share few most famous and popular Jaun Elia Poetry with Wallpapers. Not only this for our readers we also have Jauan Elia Ghazal in Text Form. Also Click Here To Read Jaun Elia 2 Line Shayari & Jaun Elia Sad Poetry.

Jaun Elia Poetry with Beautiful Wallpaers

jaun elia poetry 0

jaun elia poetry 1

jaun elia poetry 2

jaun elia poetry 3

jaun elia ghazal

jaun elia ghazal 0

jaun elia ghazal 1

Jaun Elia Ghazal & Jaun Elia Shayari

Chand Asha'ar - Jaun Elia Shayari

yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain


yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah


kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt


hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin


kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai

____________________

Koi Haalat Nahin, Ye Haalat Hai - Jaun Elia Shayari

Koi Haalat Nahin Hai, Ye Haalat Hai
Yeh To Asoob Naak Zaroorat Hai

Anjuman Main Ye Meri Khamoshi
Burdbari Nahin Hai, Wehshat Hai

Tanz Pairaiye Tabassum Me.
Takhalus Ki Kiya Zaroorat Hai
Garam joshi Is Qadar K Kiya Baat
Kiya tumhein Mujhse koi Shikayat Hai

Ab Tum Nikal Ao Apnay Andar Sey
Ghar Mein Kuch Samaan Ki Zaroorat Hai

Hum Ne Jana, To Hum Ne Ye Jana
Jo Nahin Hai Woh Khoobsurat Hai

Khuwahishen Dil Ka Saath Chor Gayeen
ye Azziyat Bhi Bari Azziyat Hai
Log Masroof Jantay Hain Mujhe
Yahan Mera Gham E Meri Fursat Hai

Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra
Sar Se Pair Tak Salamat Hai

___________________

Meri Masoom Ferozi - Jaun Elia Shayari

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda E Jaan...
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Muhabbat Ka Jawaab
Uss Kay Andaaz E Nigaarish Sey Pareshaan Hoon Main
Wehshat Afza Hai Meray Wastay Asloob E Khitaab

Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees O Riwayaat Nahin Sun'na Theen

Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba E Kaamil Tum Mein
Mujhko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Theen
Tum Nay Likha Hai K Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab E Zam Zam Sey Kero Pur Na Jawaani Ka Ayaagh

Tum Ney Likha Hai K Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma E Kaaba Se Jalao Na Meri Shab Ka Chiraagh

Tum Ager Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likhoo
Bhai Kay Khat Bhi Chup Chup Kay Parha Kartay Hain?
Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao..
Bhai Ka Naam Bhi Sharmaa Kay Liya Kartay Hain?

Main Nay Samjha Tha MayNaab E Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhhayyul To Barri Mushkil Hai

Aao Main Tumko Batlaaon Kay Muhabbat Kiya Hai
Hasrat E Larzish E Bay Jaa Ka Mukammal Ehsaas
Mard O Aurat Mein Meri Hoor Teray Sir Ki Kasam
Rishta E Aadam O Hawwa Kay Siwa Kuch Bhi Nahin.

_____________________

Qata'at - Jaun Elia Shayari

Be-Dili Kiya Yunhi Din Guzar Jayeinge
Sirf Zinda Rahe Hum To Marr Jayeinge
Kitney Dilkash Ho Tum, Kitna Dil-Joo Hoon Main
Kiya Sitam Hai k Hum Log Marr Jayenge

Meri Aqal-0-Hosh Ki Sab Haalatein
Tum Ne Sanchay Me Ja-noo K Daal Dein
Ker Liya Tha Maine Ehd-e-Tark-e-Ishq
Tum ne Phir Banhein Galay Me Daal Dein

Sharam, Dehshat, Jhijhak, Pareshanii
Naaz Se Kaam Q Nahin Leiti
Aap, Woh, Ji, Magar,Ye Sab Kya Hai
Tum Mera Naam Q Nahin Leiti

______________________

Khatra Hai - Jaun Elia Shayari

Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai..
Dil Ko Ab Dil Dahi Se Khatra Hai..

Hai Kuch Aisa Kay Uski Jalwat Mein
Hamein Apni Kami Se Khatra Hai.

Jis Ki Aghosh Ka Hoon Deewana
Us Ki Aghosh Hi Sey Khatra Hai.
Yaad Ki Dhoop To Hai Rouz Ki Baat
Han Mujhe Chandani Sey Khatra Hai.

Hai Ajab Kuch Muamla Dar-Paish
Aqel Ko Aaga'ahi Sey Khatra Hai.

Sheher E Ghaddar Jaan Ley Kay Tujhe
Aik Amroohi Sey Khatra Hai.
Main Kahoon Kis Tarhan Yeh Baat Us Sey
Tujh Ko Janam Mujhi Sey Khatra Hai.

Aaj Bhi Aye Kanaar E Baan Mujhe
Teri Ik Sanwali Sey Khatra Hai.

In Laboun Ka Lahoo Na Pee Jaon..
Apni Tishna Labi Sey Khatra Hai..
Jaun! Hee To Hai Jaun Kay Darpay.
Meer Ko Meer Hi Sey Khatra Hai.

Ab Nahin Baat Koi Khatray Ki.
In Sabhi Ko Sabhi Sey Khatra Hai.

__________________

Ek Gali Thi, Jis Se Hum Nikley - Jaun Elia Shayari

Ek gali thi jab us sey hum nikley,
Aisay nikley jaisay dum nikley

Koocha e aarzoo jo tha us mein
Zulm-e- jaana taraa k kham nikley

Jo phire dar badar yahan
Woh apne ghar se bohot e kam nikley

Jin se dil ka muamla tha
Yahan bohot kam e aisay gham nikley

Aag dil sheher mein lagi jis din
Sab se aakhir mein wahan se hum nikley

"Jaun" ye jo wajood hai, ye wajood
Kiya banay gi, agar adam nikley.

___________________

Jee Hi Jee Mein - Jaun Elia Shayari

Jee Hi Jee Mein Woh Jal Rahi Hogi
Chaandani Mein Tehal Rahi Hogi.

Chaand Ney Taan Lee Hai Chadar E Abar
Ab Woh Kapray Badal Rahi Hogi.
Surkh Aur Sabaz Wadiyon Ki Taraf
Woh Meray Saath Chal Rahi Hogi.

Charhatay Charhatay Kisi Pahaari Per.
Ab Woh Karvat Badal Rahi Hogi.

Pairh Ki Chaal Se Raggar Kha Ker
Woh Tanni Se Phissal Rahi Hogi.
Ho Kay Khuwab E Aish Sey Bedaar
Kitni Hi Dair Shall Rahi Hogi.

Jaun Elia Poetry || Jaun Elia Shayari || Jaun Elia Ghazal

Hope you guys like this collection of Jaun Elia Ghazal & Jaun Elia Poetry. For Daily and Weekly Urdu Quote & Poetry Keep Follow Us.

No comments :

Post a Comment