35 Most Emotional Urdu Quotes Which Will Melt Your Hearts
Beautiful Quotes
,
best urdu quotes
,
Rishte Quotes in Urdu
,
Sad Quotes in Urdu About Life
,
Sad Urdu Quotes
,
top urdu quotes
,
Urdu Quotes
.
May 26, 2019
No comments
Emotional Urdu Quotes |
The true fact of life is that we can't and unable to express our emotions to our love one. The reason is that we don't find proper words to express it. And selection of the words for expression of one's emotions, is always a hard and tough job for one and all around. Cause of which many people around us, who truly love us unable to feel our emotions. So we use to look for the words of popular writers which can help us to express our feelings. For that purpose we start to search Emotional Urdu Quotes. So for our readers and followers, here in this post we are going to share 35 most Emotional Urdu Quotes which will not only express your true feelings but also melt your heart. Read these Emotional Urdu Quotes below. Also read Top 70 Urdu Quotes SMS.
Heart-Touching & Emotional Urdu Quotes
1- Kabhi kisi ko jaan boojh kar azmaish me mat dalo. Ho sakta hai woh kisi majboori ki waja se apki azmaish pe pura na utray, aor tum us se badgumaan ho betho.
2- Zindage mein dosti aur muhabbat un se karo jo nibana janty hon.Nafrat un se karo jo bhulana janty hon aur Ghussa un pr karo jo manana janty hon.
3- Rishtay aor sheeshy, dono hi insaani ghaflat se toot te hain. Hamain yeh yaad rakhna chahye keh sheeshy ka mutbadil mil jata hai, magar rishton ka mutbadil nahi milta.
4- Aisa shaks jis ka dushman koi na ho aur dost sub hon tou us shaks jaisa koi munafiq nahin kiyon ky dushman hamesha us ky hoty hain jo HAQ baat kheta ho.
5- Apno ko hamesha apni mojoodgi ka ehsaas dilaty raho, warna waqt unhein apke bina hi jeena sikha dega.
6- Agr koi tum se Bhalaye ki umeed rakhta hai tou us ko kbhi mayous na karo.Kiyon ky logn ka tum se wabasta hona tum pr ALLAH ka khas karam hai.
7- Takabbar se paak guftgu, mufaad se paak mohabbat, laalach se paak khidmat, khud gharzi se paak dua, sachay rishton ki daleel hai.
8- Apne sochu ko paani ky qatru se bhi zaida shafaf rakho kiyon ky jis tra qatru se mil kar darrya banta hai ese tra sochu se mil kar eman banta hai.
9- Agar kisi ko ghuroor ho k woh jitni bar bhi ruthayga tum usay mana logay, to us ka yeh ghuroor tootne mat do.
10- Rishtay kharab honay ki aik waja yeh bhi hai k log jhukna pasand nahi karty.
11- Jab koi shakhs naraazgi khatam karne me pehal karay to uska yeh matlab nahi ke woh ghalat tha, balkay uska matlab hai k uski nazar me tum usay apni anaa se bhi zyada aziz ho.
12- Waqt mitti daal deta hai. Yaadon Par. Maazi Par. Aarzoo Par. Ghaltiyon Par. Chahton Par. Yahan tak ke rishton par bhi.
13- Rishtay tornay ka mashwra to koi bhi de sakta hai, magar rishtay jornay aor nibhany ki targheeb koi ba-shaoor shakhs hi de sakta hai.
14- Jab insaan ko kisi se rishta torna hota hai to woh sab se pehle apni zubaan se mithaas ko khatam karta hai.
15- Agar apne apko dukho se azaad karna chahty ho to logo se ummeedein wabasta karna chhor do.
16- Achha waqt achhi yaadein lata hai, aor bura waqt achha sabaq.
17- Aksar, guzri hui khushiyaan sab se zyada dard deti hain.
18- Dhokha khanay walon ko to waqt ke sath sabar aor sukoon mil jata hai. Dhoka deney wala hamesha besukoon rehta hai, aik zehni wazan ke sath.
19- Jo tumhein Khushi me yaad aye, samjho Tum us se mohabbat karty ho, aor jo tumhein Gham me yaad aye, samjh lo woh Tumse mohabbat karta hai.
20- Jis ne kisi ko apne raaz bata diye to samjho k woh uska mohtaaj ho gya.
21- Andheray ko andherey se nahi, balkay roshani se khatam kiya jata hai. Usi tarah, Nafrat ko nafrat se nahi, balkay mohabbat se jeeta ja sakta hai.
22- Agar tum apne raaz khud nahi chhupa sakty to dusro ko bata ke un se raazdari ki ummeed mat rakho.
23- Agar tum kisi ko dhoka dene me kamyaab ho jatay ho to yeh mat samjho k tum kitne chalaak ho, balkay yeh socho k us shakhs ko tum pe kitna aitbaar tha.
24- Aitbaar aor Pyar, do aisy parinday hain k agar aik urr aye to dusra khud hi urr jata hai.
25- Insaan ke andar se kamzor honay ki waja aksar usay uskay apno se milay dhokay hotay hain.
26- Jhoot bolnay walay shakhs ki sab se bari saza yeh k uske sach pe bhi koi aitbaar nahi karta.
27- Zindagi ka wese hona jesa tum chahty ho kese mumkin hai, jab na tum apni marzi se peda hue, aor na apni marzi se maray.
28- Insaan ki fitrat ka andaza us ke chhoty chhoty kaamo se hi ho jata hai. Baray baray kaam to woh bohat soch samajh ke karta hai.
29- Achhay logo ke sath achhay se pesh aana bari baat nahi, balkay buray logo ke sath achhay se pesh aana bohat bari baat hai.
30- Tumhari niyyat ki azmaaish us waqt hoti hai jab tum kisi aisy shakhs ho faida pohnchao jo tumhein badlay me kuchh nahi de sakta.
31- Koi khushi, koi rishta, koi jazba kabhi mushkil nahi hota, in ke bhi paaon hotay hain, bus hamara sulook aor rawayya dekh kar kabhi yeh bhaag kar kareeb ajaty hain, aor kabhi ahista ahista door chalay jatay hain.
32- Koi tum se bhalai ki ummeed karay to usay mayoos mat karo. Logo ki zarurato ka tumse wasta hona Khuda ki tum pe inayat hai.
33- Do tarah ke logo se hamesha bacho. Aik woh jo tum mein woh nuqs bataye jo tum me nahi. Dusra woh jo tum me woh khoobi bataye jo tum me nahi.
34- Hamesha Sach bolo, takay tumhein zehn pe zor dal k yeh na yaad karna paray k tum ne kya kaha tha.
35- Alfaz ka intkhaab soch samjh kar karein, aap ke alfaz apki tarbiyat, khandaan aor apke mizaaj ka pata dete hain.
Best Collection of Emotional Urdu Quotes
This is the best collection of most Emotional Urdu Quotes. Which will not only help you to express your feelings. But the strong words will also melt the hearts of one and all around when you post this on your social media handle. Hope your search has come to an end here. For more Urdu Quotes keep follow us.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment