60 Most Inspirational And Motivational Urdu Thoughts Which Change Perspective About Life
best urdu quotes
,
best urdu quotes on life
,
Famous Urdu Quotes
,
Sad Urdu Quotes
,
Urdu Inspirational Quotes
,
Urdu Motivational Quotes
.
April 10, 2019
No comments
Urdu Thoughts |
Urdu Thoughts:
We use to learn a lot of lessons from life. And also we have to face number of experience from life and from the people as well around us. But it is on us how we take these lesson which we learn from life. And will be change ourselves after experiencing such things. But it also depend on nature. As some have flexible nature, they faced different experiences but forget all when the time pass. But there are few people who use to change their perspective about life after having such experience. And also bring positive change in their personalities. So today we decide to share some Urdu Thoughts of such great people in their great words. Which will also change your perspective about life. Also Read Anmol Baatein.
Inspirational Urdu Thoughts
1- Ehm din woh nahi tha jab aap dunya mein aye, balkay woh din ehm hoga jab aap yeh log logy ke aap is dunya mein kyun aor kis maksad ke liye aye ho.
2- Kashti sehra pe sab se zyada mehfooz hoti, lakin kashtiyan sehra ke liye nahi banai jati.
3- Dunya mein kabhi kisi achhay insaan ki talash mat karna, balkay khud achhay ban jao, ho sakta hai apke is kaam se kisi aor ki talaash khatam ho jaye.
4- Sabar karnay walon ko sirf utna hi milta hai jitna Koshish karnay walay chhor dete hain.
5- Woh kaam karo jo tumhara dil kehta hai, dunya ki tanqeed se to tum na aisy bach sakty ho na wese.
6- Nakaami ka khauf, Nakaami se zyada khatarnaak hota hai.
7- Zindagi ka maqsad khud ki talaash hi, balkay apne aapki pehchaan hai.
8- Apne aaj ko behtar banana hi aanay walay kal ki behtreen tayyari hai.
9- Khwuaab dekhne pe umar ki koi qaid nahi.
10- Jab kisi cheez se khatra mehsoos karo to us se bhago mat, uska saamna karo, kyun ke khatra khauf se behtar hai.
11- Pehle khud mein woh tabdeeli lao jo tum dunya mein dekhna chahty ho.
12- Kamyaab log apne faislon se dunya badal dete hain, aor kamzor log dunya ke darr se apne faislay badal dete hain.
13- Zindagi mein apna woh mukaam peda karo k zinda raho to log tumhein dil se khush ho k milein, aor agar mar jao to log sachay dil se tumhein yaad karein.
14- Logo se sath nahi diya to dukhi mat hona, Khwuaab tumhare hain, koshish bhi tumhein hi karni paregi.
15- Logo ko "duaaon mein yaad rakhna" kehne se behtar hai aisa kaam karo k log tumhein duaaon mein yaad rakhein.
16- Apne sath kabhi bhi haaray hue shakhs ki tarah baat mat karo.
17- Kamyaabi insaani ko badalti nahi, balkay benaqaab karti hai.
18- Tum wese hi ho jesa tum apne baray me sochtay ho. Agar nahi bhi ho to tum apne apko convince kar hi logy.
19- Mehnat itni khamoshi se karo ke apki Kamyaabi logo me hulchul macha de.
20- Har woh cheez jo tum soch saktay ho, haqeeqat ban sakti hai.
21- Ghareeb peda honay pe apka koi bus nahi, lakin ghareeb reh k ghareeb hi mar jana apka kasur hai.
22- Aor jab tum kisi cheez ko shiddat se chahty ho, to puri kainaat tumhein us se milany me jurr jati hai.
23- Hakeeki tor par kamyaab shakhs dusro ko bhi kamyaab dekhna chahta hai.
24- Chhotay zehno mein hamesha khwuaish aor baray zehno mein hamesha maksad hotay hain.
25- Dushman banany keliye larai jhagra zaruri nahi. Bus itna hi kafi hai k aap thoray kamyaab ho jayein, phir dekhiye dushmani kheraat mein mil jayegi.
26- Har Kaamyaab shakhs ke peechhy aik takleef-de kahani hoti hai, aor har takleef-de kahani ka anjaam kamyabhi hoti hai. Isliye, takleef sehne ki adat daalna kamyabi ki taraf aik kadam hai.
27- Maazi to khair koi nahi badal sakta, magar HAAL aor Mustaqbil hamesha insaan ki muthi mein hotay hain.
28- Khuda har parinday ko rizq deta hai, magar us ke ghonslay mein nahi dalta. Rizq hasil karnay ke liye parinday ko khud koshish karni parti hai.
29- Zindagi musalsal imtehaan ka naam hai. Yahan dus baar girnay ke bad gyarwi bar uth janay ka naam kamyaabi hai.
30- Aadhay adhuray dil se kiye hue kaamo ka natija bhi aadha adhura hota hi milta hai.
31- Waqt se pehle aor kismat se zyada kabhi nahi milta.
32- Jo buray waqt ko bhi muskura ke guzaar lete hain, koi unka kuchh nahi bigaar sakta.
33- Khushfehmiyon ki ainak jab utarti hai to har cheez saaf dikhai deti hai, hatta ke apni okaat bhi. Kamyaab wohi hai jo is ainak ko waqt se pehle utaar lay.
34- Mehnat akele hi karna parti hai, log sirf charhty sooraj ko Salaam karty hain.
35- Zindagi mein hum zaroor kamyaab ho saktay hain, agar hum un naseehaton par amal karlein jo hum doosro ko dete hain.
36- Agar tum woh na paa sako jo tum chahty ho, to usay kubool karlo jo tumhare pas pehle se hai.
37- Jab duaoon aor kishishon se baat na banay to faisla apne Rab par chhor do. Khuda apne banday ke liye hamesha sahi faisla karta hai.
38- Mushkelein hamesha Kabil logo ke raaston mein hi aati hain.
39- Kisi se us ki ummeed mat chheeno. Ummeed ke beghair insaan khizaan ke darakh ki tarah murjha jata hai.
40- Dhokha khanay walon ko to waqt ke sath sabar aor sukoon mil jata hai. Dhoka deney wala hamesha besukoon rehta hai, aik zehni wazan ke sath.
41- Dua karo to puray dil se aor aitmaad ke sath karo, kyun k khuda ghafil aor laparwah dil ki dua kubool nahi karta.
42- Jis ne kisi ko apne raaz bata diye to samjho k woh uska mohtaaj ho gya.
43- Zindgi me bhalay hi kitni bar harna paray, zindagi se kabhi haar mat man'na.
44- Agar tum kisi ko dhoka dene me kamyaab ho jatay ho to yeh mat samjho k tum kitne chalaak ho, balkay yeh socho k us shakhs ko tum pe kitna aitbaar tha.
45- Agar tum apne raaz khud nahi chhupa sakty to dusro ko bata ke un se raazdari ki ummeed mat rakho.
46- Insaan ke andar se kamzor honay ki waja aksar usay uskay apno se milay dhokay hotay hain.
47- Jhoot bolnay walay shakhs ki sab se bari saza yeh k uske sach pe bhi koi aitbaar nahi karta.
48- Koi bhi shakhs us waqt tak apka sacha dost nahi ho sakta jab tak woh apki ghair-mojoodgi mein bhi apki izzat na kary.
49- Lambi dosti chahty ho to logo ko apni haqeeqi shakhsiyat dikhao. Apki sachai hi apke rishty behtar banati hai.
50- Bura dost aag ki tarah hai. Agar khud jala to apko lapait me le lega, aor bujh bhi gya to apke hath kaalay kar dega.
51- Jahan izzat, sachai aor khaloos nazar aye, wahan dosti ka hath barhao, warna tumhari tanhai tumhari behtreen dost hai.
52- Zindagi ka wese hona jesa tum chahty ho kese mumkin hai, jab na tum apni marzi se peda hue, aor na apni marzi se maray.
53- Achhay logo ke sath achhay se pesh aana bari baat nahi, balkay buray logo ke sath achhay se pesh aana bohat bari baat hai.
54- Koi khushi, koi rishta, koi jazba kabhi mushkil nahi hota, in ke bhi paaon hotay hain, bus hamara sulook aor rawayya dekh kar kabhi yeh bhaag kar kareeb ajaty hain, aor kabhi ahista ahista door chalay jatay hain.
55- Do tarah ke logo se hamesha bacho. Aik woh jo tum mein woh nuqs bataye jo tum me nahi. Dusra woh jo tum me woh khoobi bataye jo tum me nahi.
56- Alfaz ka intkhaab soch samjh kar karein, aap ke alfaz apki tarbiyat, khandaan aor apke mizaaj ka pata dete hain.
57- Ghuroor aor ghaflat ka nasha sharab se bhi zyada hota hai, jo is nashay mein mubtla ho jata hai woh jald hosh mein nahi aata.
58- Insaan ki fitrat ka andaza us ke chhoty chhoty kaamo se hi ho jata hai. Baray baray kaam to woh bohat soch samajh ke karta hai.
59- Tumhari niyyat ki azmaaish us waqt hoti hai jab tum kisi aisy shakhs ho faida pohnchao jo tumhein badlay me kuchh nahi de sakta.
60- Lafz insaan ke ghulaam hotay hain, magar sirf bolnay se pehle. Bolnay ke baad tum us ke ghulaam ban jatay ho.
Best Inspirational Urdu Thoughts
This the best and most inspirational Urdu Thoughts which will change your perspective about life. Hope you get inspiration and motivation from these beautiful words For more keep follow Urdu Quotes.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment