Top 70 Urdu Quotes Sms Which Will Express Your True Feelings
best urdu quotes
,
best urdu quotes on life
,
Famous Urdu Quotes
,
top urdu quotes
,
Urdu Quotes
,
urdu quotes on zindagi
.
April 19, 2019
No comments
Urdu Quotes Sms |
Inspirational & Motivational Urdu Quotes Sms
1- Jo tumhein Khushi me yaad aye, samjho Tum us se mohabbat karty ho, aor jo tumhein Gham me yaad aye, samjh lo woh Tumse mohabbat karta hai.
2- Jo shakhs sirf apne liye sochy wo janwar hai aur jo dusru ky liye sochy wo insan hai.
3- Agar tum kisi ko dhoka dene me kamyaab ho jatay ho to yeh mat samjho k tum kitne chalaak ho, balkay yeh socho k us shakhs ko tum pe kitna aitbaar tha.
4- Tooba rooh ka ghusal hai jitne bar bhi kia jaye nikhar he paida hota hai.
5- Andheray ko andherey se nahi, balkay roshani se khatam kiya jata hai. Usi tarah, Nafrat ko nafrat se nahi, balkay mohabbat se jeeta ja sakta hai.
6- Insaan ke andar se kamzor honay ki waja aksar usay uskay apno se milay dhokay hotay hain.
7- Momin ky liye har wo din jis din wo guna na kare Eid ki tra hai.
8- Agar tum apne raaz khud nahi chhupa sakty to dusro ko bata ke un se raazdari ki ummeed mat rakho.
9- Duniya mein sub se khubsurat darakht muhabbat ka hai jo dilu mein ugta hai.
10- Dhokha khanay walon ko to waqt ke sath sabar aor sukoon mil jata hai. Dhoka deney wala hamesha besukoon rehta hai, aik zehni wazan ke sath.
11- Insan jab apny ap ko dusru se acha samjhny lag jata hai tou wo bura ban jata hai.
12- Jab insaan ko kisi se rishta torna hota hai to woh sab se pehle apni zubaan se mithaas ko khatam karta hai.
13- Iklaq wo cheez hai jis ki koi qeemat nahin daine parti.Magr insan es se har cheez khareed laita hai.
14- Koi bhi shakhs us waqt tak apka sacha dost nahi ho sakta jab tak woh apki ghair-mojoodgi mein bhi apki izzat na kary.
15- Agr tum kise ko dil se pyaar karo aur wo tumhein chour dy tou wo uski bd-naseebi hai tumhare nahin.
16- Lambi dosti chahty ho to logo ko apni haqeeqi shakhsiyat dikhao. Apki sachai hi apke rishty behtar banati hai.
17- Apne zaban ki teeze ko apne Maa par na chalao jis ne tum ko bolna sekhaya hai.
18- Bura dost aag ki tarah hai. Agar khud jala to apko lapait me le lega, aor bujh bhi gya to apke hath kaalay kar dega.
19- Insaniyat bhot bra khazana hai esy lebas (Dress) mein nahin balky insan mein talash karo.
20- Jahan izzat, sachai aor khaloos nazar aye, wahan dosti ka hath barhao, warna tumhari tanhai tumhari behtreen dost hai.
21- Maaf karna aur Insaaf karna aisy do amal hain jin ka sawab kbhi tola nahin ja sakta.
22- Agar dosti ka rishta na bana hota to insaan kabhi na karta k ajnabi log apno se bhi zyada pyary ho sakty hain.
23- Khuwaishat badshahu ko bhi Ghulam bana daiti hain magr sabr fakeero ko bhi badshah bana daita hai.
24- Zindagi ka wese hona jesa tum chahty ho kese mumkin hai, jab na tum apni marzi se peda hue, aor na apni marzi se maray.
25- Kise shaks ko paa lena he Muhabbat nahin balky kise ky dil mein jgah bana lena Muhabbat hai.
26- Achhay logo ke sath achhay se pesh aana bari baat nahi, balkay buray logo ke sath achhay se pesh aana bohat bari baat hai.
27- Tabiyat ki narmi aur sekhawat insan ko dushman ky dilu mein bhi mehboob bana daiti hai.
28- Aik hi din ko, aik hi tareekay se, 60-70 saal jee lena zindagi nahi hoti.
29- Apne zindagi ko aise guzaro ky daikhny waly tumhary DARD ky bajaye tumhary sabr pr fakhr karein.
30- Koi khushi, koi rishta, koi jazba kabhi mushkil nahi hota, in ke bhi paaon hotay hain, bus hamara sulook aor rawayya dekh kar kabhi yeh bhaag kar kareeb ajaty hain, aor kabhi ahista ahista door chalay jatay hain.
31- Agr tumhary dil mein kise ky liye nafrat paida ho tou us waqt foran us ki ache baatn ko yaad karo.
32- Do tarah ke logo se hamesha bacho. Aik woh jo tum mein woh nuqs bataye jo tum me nahi. Dusra woh jo tum me woh khoobi bataye jo tum me nahi.
33- Apne taqat aur dolat pr kbhi bhi barosa mat karna kiyon ky bemare aur ghurbat any mein dair nahin lagti.
34- Ghuroor aor ghaflat ka nasha sharab se bhi zyada hota hai, jo is nashay mein mubtla ho jata hai woh jald hosh mein nahi aata.
35- Agr muhabbat un se na mily jin se tum pyaar karty ho tou Muhabbat us ko zaror daina jo tum se pyaar karta hai.
36- Alfaz ka intkhaab soch samjh kar karein, aap ke alfaz apki tarbiyat, khandaan aor apke mizaaj ka pata dete hain.
37- Agr kise ki Muhabbat pana chahty ho tou us ko batao ky zindagi mein moqy km aur DHOUKY zaida milty hain.
38- Insaan ki fitrat ka andaza us ke chhoty chhoty kaamo se hi ho jata hai. Baray baray kaam to woh bohat soch samajh ke karta hai.
39- Duniya mein sirf paisa hona he RIZQ nahin.Naik aulad , acha ikhlaq aur achy dost bhi RIZQ mein shamil hain.
40- Mard ka imtehaan aorat se, aor aorat ka imtehaan paisay se hota hai.
41- Apne dosto ky ghamu mein shamil hua karo magr unki khushio mein tab tak na jao jab tak wo khud na bhulayn.
42- Saanp se zyada insaan se daro. Saanp sirf apne dafa keliye dasta hai, aor insaan apne mufaad ke liye.
43- Jab tumhare mushkilat had se zaida ho jayn tou samjh lo ky KHUDA tumhein koi buland mukam dainy waly hai.
44- Tabdeeli na to koi laa sakta hai, aor na hi koi rok sakta hai. Bus iska hissa ban sakta hai.
45- Zindagi jeeny ky sirf do he tareeqy hain.Un logn ko bhoul jao jin ko maaf nahin kar sakty aur uny maaf kar do jiny bhoul nahin sakty.
46- Paisay ka sath sirf maut tak aor Apno ka sath sirf Qabar tak hota hai. Lakin apni zindagi me kiye hue achhay kaam marnay ke baad bhi saath dete hain.
47- Qurbaan jao us ALLAH pr jo insan ko us ki bardast ky mutabiq dhouk daita aur insan ko us ki auqaat se zaida khushi daita hai.
48- Lafz insaan ke ghulaam hotay hain, magar sirf bolnay se pehle. Bolnay ke baad tum us ke ghulaam ban jatay ho.
49- Apne life mein aisy shaks ko kbhi nahin khona jis ky dil mein ap ky liye Muhabbat, Fikr, Izzat aur Chahat ho.
50- Apni zubaan ko soch samjh ke istmaal karne wala hamesha faiday me rehta hai.
51- Insan ky jism ka sub se khubsurat hisa uska dil hai agr yehe saaf na ho tou chamkta chera bhi kise kaam ka nahin hota.
52- Logo se pyar karo, aor cheezon ko istmaal karo. Iska ulta karogy, to zindagi me kuchh seedha nahi hoga.
53- Mushkilat hamesha behtren logn ky hisy mein aty hain kiyon ky wo en ko behtren tareeqy se sar-unjam dainy ki taqat rakhty hain.
54- Kabhi bhi apni kamai aor apni sehat pe gharoor mat karna, kyun k ghurbat aor bemari aatay waqt nahi lagta.
55- Es duniya mein hazaru rishty banao magr ek rishta aisa bhi banao ky jab hazru ap ky khilaf hon to wo ek ap ky sath ho.
56- Hamesha Sach bolo, takay tumhein zehn pe zor dal k yeh na yaad karna paray k tum ne kya kaha tha.
57- Aisa bhot he km hota hai ky jald-bazi karny wala admi naqsan na uthaye magr aisa kbhi nahi hota ky sabr karny wala nakam ho jaye.
58- Koi tum se bhalai ki ummeed karay to usay mayoos mat karo. Logo ki zarurato ka tumse wasta hona Khuda ki tum pe inayat hai.
59- Zindagi mein jab dukh mily tou pachtawy ky anso na bahao.Kiyon ky tum wo khush naseeb ho jis ko ALLAH ne Qabil-E-Azmahish samjha.
60- Tumhari niyyat ki azmaaish us waqt hoti hai jab tum kisi aisy shakhs ho faida pohnchao jo tumhein badlay me kuchh nahi de sakta.
61- Jab tum pr mushkil waqt aye tou kise ka asan na lo.Kiyon ky mushkil waqt 4 din ka aur asan sare zindage ka hota hai.
62- Hakeekat mein, zindagi bohat asaan hoti hai, hum khud hi isay, jaanay anjaanay mein, mushkil bana lete hain.
63- Sare duniya ky log insan ko apny faidy ky liye chahty hain sirf ALLAH he insan ko us ky faidy ky liye chahta hai.
64- Zindagi zaruraton ke hisaab se jiyo, khwuahisho ke hisaab se nahi. Kyun k zarurat faqeer ki bhi puri ho jati hai, aor khwuahish badshaho ki bhi adhuri reh jati hai.
65- Insan ki Tang Dasti mein Sakhawat karna, Ghussy mein sach bolna aur taqat hoty hue bhi maaf karna uski sub se behtren neki hai.
66- Bolany se ap sirf wohi cheez keh rahay hotay hain jo aap pehle se jantay hain, jabkay dusro ko sun'ne se aap nayi cheezon ke baray mein jaan sakty hain.
67- Kamyabi ko damgh mein aur nakami ko dil mein jgah na don.Kiyon ky kabh kabhi Kamyabi damgh mein Takhbr aur Nakami Dil mein Mayuse paida kar daiti hai.
68- Jo saanp apni khaal nahi badal sakty woh maflooj ho jaty hain, aor jo log apni soch nahi badal sakty, un ke zehn maflooj ho jaty hain.
69- ZIndage mein dosti aur muhabbat un se karo jo nibana janty hon.Nafrat un se karo jo bhulana janty hon aur Ghussa un pr karo jo manana janty hon.
70- Agar aik kitaab ko dubara parhnay ka dil nahi karta, to usay pehli bar parhna bhi tumhare liye khaas fayedymand nahi.
Best Motivational Urdu Quotes Sms
This is the most motivational and inspirational collection of Urdu Quotes Sms. Which will win the hearts of others. And also motivate one towards the right ways and also will change perspective about life. Hope your get inspiration and motivation from these powerful words. For more Urdu Quotes keep follow us.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment